logon ke dard apni pashemaniyan milin
hum shah-e-gham the hum ko yahi raniyan milin
sahraon mein bhi ja ke nazar aae sail-e-ab
dariya se dur bhi hamein tughyaniyan milin
aaya na phir wo daur ki ji bhar ke kheliye
bachpan ke baad phir na wo nadaniyan milin
rah kar alag bhi sath raha hai koi KHayal
tanhai mein bhi KHud pe nigahbaniyan milin
pani ke sath aks bhi bah kar chale gae
sukhi nadi to phir wahi viraniyan milin
apni hi aankh par gae lamhon ka bojh tha
is ki nazar mein to wahi jaulaniyan milin
baiTha raha huma-e-sitam sar pe hi 'adim'
har dasht-e-karb ki hamein sultaniyan milin
Ghazal
Logon ke dard apni pashemaniyan milin
Adeem Hashmi