logo ye ajib saneha hai
mujh mein koi qatl ho raha hai
kis ki hai talash kya bataen
apna hi wajud kho gaya hai
soenge azal mein ja ke hum sab
duniya to azim rat-jaga hai
sach ko hai dawam is jahan mein
mujh se to yahi kaha gaya hai
marna hai yahan bahut ghanimat
jina to muhaal ho chuka hai
dega wo zarur sang mujh ko
jis ne tujhe aaina kiya hai
aai hai tawil hijr ki shab
ye dil sar-e-sham jal gaya hai

Ghazal
Logo ye ajib saneha hai
Sabir Waseem