اردو हिंदी
Log yak-rangi-e-wahshat se bhi uktae hain | Shaahi Shayari
log yak-rangi-e-wahshat se bhi uktae hain

Ghazal

Log yak-rangi-e-wahshat se bhi uktae hain

Rahi Masoom Raza

;

log yak-rangi-e-wahshat se bhi uktae hain
hum bayaban se yahi ek KHabar lae hain

pyas buniyaad hai jine ki bujha len kaise
hum ne ye KHwab na dekhe hain na dikhlae hain

hum thake-haare hain ai azm-e-safar hum ko sambhaal
kahin saya jo nazar aaya hai ghabrae hain

zindagi DhunDh le tu bhi kisi diwane ko
us ke gesu to mere pyar ne suljhae hain

yaad jis chiz ko kahte hain wo parchhain hai
aur sae bhi kisi shaKHs ke hath aae hain

han unhin logon se duniya mein shikayat hai hamein
han wahi log jo akasr hamein yaad aae hain

is bayaban-e-dar-o-baam mein kya rakkha hai
hum hi diwane hain sahra se chale aae hain