log uTThe hain teri bazm se kya kya ho kar
aur ek hum hain ki nikle bhi to ruswa ho kar
tir-e-mizhgan ka hai ye ghaw bhare to kaise
ab to nasur bana zaKHm ye gahra ho kar
shauq-e-didar-e-talab hadd-e-adab se jo baDha
husn ne tab-e-nazar chhin li jalwa ho kar
mujh se puchhe to koi kaun ho tum kya ho tum
main ne pahchan kiya tum ko tumhaara ho kar
KHar ki tarah khaTakta hun nigah-e-dil mein
gul pe qurban hun main bulbul-e-shaida ho kar
raegan KHud ko na kar bazm-e-wafa mein ai dil
yun na aankhon se Tapak KHun-e-tamanna ho kar
kah rahe hain ye hijabaat-e-tajalli mujh se
jalwa-e-husn hai KHud husn ka parda ho kar
fitratan ishq-e-giran gosh-e-azal hi se hai
talib-e-lutf do-guna hai wo bahra ho kar
tum farishte hi sahi main hun bahar-haal bashar
guftugu mujh se karo jab bhi to mujh sa ho kar
muddai ho jo wafa ke to sitam sahte raho
lab pe aae na koi harf bhi shikwa ho kar
nit nae rang bhare is mein tasawwur ke mere
dil mein taswir rahi husn-e-sarapa ho kar
kabhi ban ban ke miTo misl-e-habab ai 'rifat'
rangzaron mein raho naqsh-e-kaf-e-pa ho kar
Ghazal
Log uTThe hain teri bazm se kya kya ho kar
Rifat Sethi