log to ek manzar hain taKHt-nashinon ki KHatir
farsh bichhaya jata hai qalinon ki KHatir
kitni be-tartibi phaili kya kuchh TuT gaya
saje-sajae ghar the unhi makinon ki KHatir
Thahar gae hain ain safar mein bin soche-samjhe
ham-safari ke kuchh be-nam qarinon ki KHatir
jal bujhte hain log kisi ko faiz pahunchne par
gir jate hain kuchh be-mani zinon ki KHatir
hum aur tum jo badal gae to itni hairat kya
aks badalte rahte hain aainon ki KHatir
unche dam lage hain humaira kore jazbon ke
sauda bura nahin hai chand mashinon ki KHatir
Ghazal
Log to ek manzar hain taKHt-nashinon ki KHatir
Humaira Rahman