log the kya jo azalon se mushtaq hue
dasht mein sar kaTwae sina-chaak hue
kaisa kumba tha wo jis ke bachche bhi
pair ke KHak aur KHun ka dariya pak hue
KHurme ke ek peD ne dekhi sari katha
mushk phaTi jab jism se bazu aaq hue
anguron ke jhunD mein miTha jharna tu
tujh par miTne wale KHush-idrak hue
awwal din jitne wade the qarz liye
aaKHir din karbal mein sab bebak hue
kitni chiKHen sadiyon ki tahwil mein gum
kitne KHeme aag mein jal kar KHak hue
aap ne zahr-bujhi teghen khain aur aap
tariKHon ki satron mein tiryaq hue
kanon se aaweze utre haq Thahra
nezon par sar hakim ki imlak hue
matam ki mazmum ghaDi jab aa pahunchi
kuchh aansu aaine kuchh auraq hue
Ghazal
Log the kya jo azalon se mushtaq hue
Nasir Shahzad