log subh o sham ki nairangiyan dekha kiye
aur hum chup-chap mazi ke nishan dekha kiye
aql to karti rahi daman-e-hasti chaak chaak
hum magar dast-e-junun mein dhajjiyan dekha kiye
KHanjaron ki thi numaish har gali har moD par
aur hum kamre mein taswir-e-butan dekha kiye
hum tan-asani ke KHugar DhunDte manzil kahan
dur hi se gard-e-rah-e-karwan dekha kiye
hum ko is ki kya KHabar gulshan ka gulshan jal gaya
hum to apna sirf apna aashiyan dekha kiye
mausam-e-parwaz ne 'najmi' pukara tha magar
par sameTe hum qafas ki tiliyan dekha kiye
Ghazal
Log subh o sham ki nairangiyan dekha kiye
Hasan Najmi Sikandarpuri