log sab qimti poshak pahan kar pahunche
aur hum jama-e-sad-chaak pahan kar pahunche
motiyon wali qaba wale KHuda ke ghar tak
jism par pairhan-e-khak pahan kar pahunche
pagalon jang bagulon se chhaDi thi aur tum
apne tan par KHas-o-KHashak pahan kar pahunche
bazm-e-shadi ko na lag jae buri koi nazar
is liye daman-e-gam-nak pahan kar pahunche
haq-bayani ka uThaya tha jo zimma hum ne
is liye lahja-e-be-bak pahan kar pahunche
yun to pahunche the KHushi oDh ke mahfil mein teri
ghar talak dida-e-namnak pahan kar pahunche
ek din wo bhi nashebon mein milenge 'nayab'
arsh tak jo kabhi aflak pahan kar pahunche
Ghazal
Log sab qimti poshak pahan kar pahunche
Nitin Nayab