اردو हिंदी
Log kyun DhunD rahe hain mujhe patthar le kar | Shaahi Shayari
log kyun DhunD rahe hain mujhe patthar le kar

Ghazal

Log kyun DhunD rahe hain mujhe patthar le kar

Shamim Tariq

;

log kyun DhunD rahe hain mujhe patthar le kar
main to aaya nahin kirdar-e-payambar le kar

mujh ko malum hai madum hui naqd-e-wafa
phir bhi bazar mein baiTha hun muqaddar le kar

ruh betab hai chehron ka tassur paDh kar
yani be-ghar hua main shahr mein ek ghar le kar

kis nae lahje mein ab ruh ka izhaar karun
sans bhi chalti hai ehsas ka KHanjar le kar

ye ghalat hai ki main pahchan ganwa baiTha hun
dar tak main hi gaya harf-e-mukarrar le kar

mojaze hum se bhi hote hain payambar ki tarah
hum ne mabud tarashe fan-e-azar le kar

KHud-kushi karne chala hun mujhe roko 'tariq'
zaKHm-e-ehsas mein chubhte hue nashtar le kar