log karne lage jawab talab
ab adalat mein hon janab talab
wo charaghon se hath dho baiThe
kar rahe the jo aaftab talab
zaKHm kuchh aur darj karne hain
kijiye mat abhi hisab talab
de chuki nind apni manzuri
kar liye jaen sare KHwab talab
mangna hai to phir chaman mangen
kyun karen ek do gulab talab

Ghazal
Log karne lage jawab talab
Raziq Ansari