log kahte hain yahan ek hasin rahta tha
sar-e-aina koi mah-jabin rahta tha
wo bhi kya din the ki bar-dosh-e-hawa the hum bhi
aasmanon pe koi KHak-nashin rahta tha
main use DhunDta phirta tha bayabanon mein
wo KHazane ki tarah zer-e-zamin rahta tha
phir bhi kyun us se mulaqat na hone pai
main jahan rahta tha wo bhi to wahin rahta tha
jaane 'faruq' wo kya shahr tha jis ke andar
ek Dar tha ki makinon mein makin rahta tha
Ghazal
Log kahte hain yahan ek hasin rahta tha
Zubair Farooq