اردو हिंदी
Log kahte hain yar aata hai | Shaahi Shayari
log kahte hain yar aata hai

Ghazal

Log kahte hain yar aata hai

Meer Asar

;

log kahte hain yar aata hai
dil tujhe e'tibar aata hai

dost hota jo wo to kya hota
dushmani par to pyar aata hai

tere kuche mein be-qarar tera
har ghaDi bar bar aata hai

zer-e-diwar tu sune na sune
nam tera pukar aata hai

haal apne pe mujh ko aap 'asar'
rahm be-iKHtiyar aata hai