log kahte hain mohabbat mein asar hota hai
kaun se shahr mein hota hai kidhar hota hai
us ke kuche mein hai nit surat-e-bedad nai
qatl har KHasta ba-andaz-e-digar hota hai
nahin malum ki matam hai falak par kis ka
roz kyun chaak gireban-e-sahar hota hai
wuhin apni bhi hai barik-tar-az-mu gardan
tegh ke sath yahan zikr-e-kamar hota hai
kar ke main yaad dil apne ko bahut rota hun
jab kisi shaKHs ka duniya se safar hota hai
us ki mizhgan ka koi nam na lo kya hasil
mera in baaton se suraKH jigar hota hai
'mushafi' hum to tere milne ko aae kai bar
ai diwane tu kisi waqt bhi ghar hota hai
Ghazal
Log kahte hain mohabbat mein asar hota hai
Mushafi Ghulam Hamdani