log kahte hain ki qatil ko masiha kahiye
kaise mumkin hai andheron ko ujala kahiye
chehre paDhna to sabhi sikh gae hain lekin
kaisi tahzib hai apnon ko paraya kahiye
jaane pahchane hue chehre nazar aate hain
waqt qatil hai yahan kis ko masiha kahiye
aap jis peD ke sae mein khaDe hain is ko
sehn-e-gulshan nahin jalta hua sahra kahiye
sab ke chehron pe hain aKHlaq-o-murawwat ke naqab
kis ko apna yahan aur kis ko paraya kahiye
shab ke mathe pe koi saya numudar hua
us ko ab pyar ke aangan ka sawera kahiye
zahr-e-tanhai-e-gham pi ke mohabbat mein 'KHayal'
kis tarah maut ko jine ka sahaara kahiye
Ghazal
Log kahte hain ki qatil ko masiha kahiye
Faiz ul Hasan