log jin ko aaj tak bar-e-garan samjha kiye
hum unhin lamhon ko umr-e-jawedan samjha kiye
maut ko hum zindagi ki tarjuman samjha kiye
qatra-e-dariya ko bahr-e-be-karan samjha kiye
go haqiqat hi haqiqat thi sarapa hum magar
zindagi ko dastan hi dastan samjha kiye
hasrat-e-sair-e-gulistan KHwab ban kar rah gai
wo qafas nikla jise hum aashiyan samjha kiye
han wahi ek shaKHs nikla be-murawwat bewafa
hum jise jaan-e-tamanna jaan-e-jaan samjha kiye
ho gae ek bar phir hum KHud-farebi ke shikar
wo zamin nikli jise hum aasman samjha kiye
hae wo niklin munazzam rahzanon ki Toliyan
aaj tak jin ko 'kanwal' hum karwan samjha kiye
Ghazal
Log jinko aaj tak bar-e-garan samjha kiye
D. Raj Kanwal