log jab tera nam lete hain
hum kaleje ko tham lete hain
rahbar ki nahin hamein hajat
KHizr ka dil se kaam lete hain
baada bhi mast-e-naz hota hai
jis ada se wo jam lete hain
shaiKH sahib bahut muridon se
aap mal-e-haram lete hain
muft bosa hasin nahin dete
dil jo dete hain dam lete hain
aadmi kya malak darud ke sath
nam-e-KHairul-anam lete hain
un ko DhunDe kahan kahan koi
kab wo nam-e-qayam lete hain
fitna-e-rozgar ban ban kar
ghar naya subh o sham lete hain
zoaf bhi kaif se nahin KHali
jab girun main wo tham lete hain
jaan kar 'mir' ka kalam 'asar'
log tera kalam lete hain
Ghazal
Log jab tera nam lete hain
Imdad Imam Asar