اردو हिंदी
Log hilal-e-sham se baDh kar pal mein mah-e-tamam hue | Shaahi Shayari
log hilal-e-sham se baDh kar pal mein mah-e-tamam hue

Ghazal

Log hilal-e-sham se baDh kar pal mein mah-e-tamam hue

Ibn e Insha

;

log hilal-e-sham se baDh kar pal mein mah-e-tamam hue
hum har burj mein ghaTte ghaTte subh talak gumnam hue

un logon ki baat karo jo ishq mein KHush-anjam hue
najd mein qais yahan par 'insha' KHar hue nakaam hue

kis ka chamakta chehra laen kis suraj se mangen dhup
ghur andhera chha jata hai KHalwat-e-dil mein sham hue

ek se ek junun ka mara is basti mein rahta hai
ek hamin hushiyar the yaro ek hamin bad-nam hue

shauq ki aag nafas ki garmi ghaTte ghaTte sard na ho
chah ki rah dikha kar tum to waqf-e-daricha-o-baam hue

un se bahaar o bagh ki baaten kar ke ji ko dukhana kya
jin ko ek zamana guzra kunj-e-qafas mein ram hue

'insha'-sahib pau phaTti hai tare Dube subh hui
baat tumhaari man ke hum to shab bhar be-aram hue