اردو हिंदी
Log hairan hain hum kyun ye kiya karte hain | Shaahi Shayari
log hairan hain hum kyun ye kiya karte hain

Ghazal

Log hairan hain hum kyun ye kiya karte hain

Shahid Latif

;

log hairan hain hum kyun ye kiya karte hain
zaKHm ko bhul ke marham ka gila karte hain

kabhi KHushbu kabhi jugnu kabhi sabza kabhi chand
ek tere liye kis kis ko KHafa karte hain

hum to Dube bhi nikal aae bhi phir Dube bhi
log dariya ko kinare se taka karte hain

hain to mere hi qabile ke ye sab log magar
meri hi rah ko dushwar kiya karte hain

hum charagh aise ki ummid hi lau hai jin ki
roz bujhte hain magar roz jala karte hain

wo hamara dar-o-diwar se mil kar rona
chand ham-sae to ab tak bhi hansa karte hain