log bhuke hain bahut aur niwale kam hain
zindagi tere charaghon mein ujale kam hain
bad-suluki bhi nikal aai hai zindanon se
bad-zabanon ki zabanon pe bhi tale kam hain
mai-kashi ke liye nayab hain jo sadiyon se
chashm-e-saqi ne wahi jam uchhaale kam hain
tu ne buzdil to banae hain bahut se lekin
mere malik teri duniya mein jiyale kam hain
rah-e-pur-KHar se Darta hai abhi tu 'azar'
aisa lagta hai tere paon mein chhaale kam hain
Ghazal
Log bhuke hain bahut aur niwale kam hain
Balwan Singh Azar