lo na hans hans ke tum aghyar se gul-daston se
itni zid bhi na rakho apne jigar-KHaston se
fundaqen bazm mein dekh us ke sar-angushton se
rishta-e-rabt ne li rah kaf-e-daston se
ru-ba-ru howe jo chashman-e-butan se ai dil
Darte rahna hi munasib hai siyah-maston se
dast-e-sayyaad se chhuTe to uchhal pai-dar-pai
warna kya faeda ai aahu-e-dil aston se
pesh jati nahin hargiz koi tadbir 'nazir'
kaam jab aan ke paDta hai zabardaston se
Ghazal
Lo na hans hans ke tum aghyar se gul-daston se
Nazeer Akbarabadi