liye aadam ne apne beTe panch
judi hoti hai haule haule aanch
qaid-e-mazhab se mujh ko kya matlab
main nahin jaanta hun tin aur panch
kis dahan ne ye us ko tang kiya
tifl-e-ghuncha ki jo nikal gai kanch
aadmi hai wahi jo duniya mein
jhuT ko jhuT jaane sanch ko sanch
ustuKHan-bandi-e-tan-e-majnun
apni nazron mein hai patang ka Dhanch
ram-e-majnun nahin hui laila
misl-e-ahu birah bhare hai kalanch
go paDhin tu ne sau kitab to kya
'mushafi' ek KHat-e-jabin ko tu banch

Ghazal
Liye aadam ne apne beTe panch
Mushafi Ghulam Hamdani