liya na hath se jis ne salam aashiq ka
wo kan dhar ke sune kya payam aashiq ka
qusur-e-shaiKH hai firdaus o hur ki KHwahish
teri gali mein hai pyare maqam aashiq ka
ghurur-e-husn na kar jazba-e-zuleKHa dekh
kiya hai ishq ne yusuf ghulam aashiq ka
tere hi nam ki simran hai mujh ko aur tasbih
tu hi hai wird har ek subh-o-sham aashiq ka
wafur-e-ishq ko aashiq hi jaanta hai 'nasir'
har ek samajh nahin sakta kalam aashiq ka
Ghazal
Liya na hath se jis ne salam aashiq ka
Shah Naseer