liya jo us ki nigahon ne jaeza mera
to TuT TuT gaya KHud se rabta mera
samaaton mein ye kaisi miThas ghulti rahi
tamam umr raha talKH zaiqa mera
chaTaKH gaya hun main apne hi hath se gir kar
mere hi aks ne toDa hai aaina mera
kiya gaya tha kabhi mujh ko sangsar jahan
wahin lagaya gaya hai mujassama mera
jabhi to umr se apni ziyaada lagta hun
baDa hai mujh se kai sal tajraba mera
adawaton ne mujhe e'timad baKHsha hai
mohabbaton ne to kaTa hai rasta mera
main apne ghar mein hun ghar se gae huon ki tarah
mere hi samne hota hai tazkira mera
main luT gaya hun 'muzaffar' hayat ke hathon
sunegi kis ki adalat muqaddama mera
Ghazal
Liya jo uski nigahon ne jaeza mera
Muzaffar Warsi