liya jannat mein bhi dozaKH ka sahaara hum ne
aashiyan barq ke tinkon se sanwara hum ne
husn-e-aina-e-ghairat ko sanwara hum ne
na liya ishq mein apna bhi sahaara hum ne
naqsh fani hi raha rang-e-baqa chaDh na saka
umr bhar aalam-e-imkan ko sanwara hum ne
har nafas marsiya tha saat-e-bedari ka
lakh soi hui qismat ko pukara hum ne
hae ai maslahat-e-waqt duhai teri
kar li na-ahl ki tanqid gawara hum ne
phir bhi peshani-e-tufan pe shikan baqi hai
Dubte waqt bhi dekha na kinara hum ne
dhaDkanen dil ki bhi shahid hain KHuda bhi hai gawah
hum pe jab waqt paDa tum ko pukara hum ne
saya-e-gul mein kahan fitrat-e-azad ko chain
har taDapti hui bijli ko pukara hum ne
Ghazal
Liya jannat mein bhi dozaKH ka sahaara humne
Siraj Lakhnavi

