lillah koi koshish na kare ulfat mein mujhe samjhane ki
jalne ke alawa aur koi manzil hi nahin parwane ki
Darne ko to kitne Darte hain ruswai se wo diwane ki
ek had to muqarrar kar dete zulfon ke liye lahrane ki
nazren to milati thin un se kuchh baat na thi ghabrane ki
ai ishq magar hum chuk gae ye choT thi dil par khane ki
qurbat ho ki duri donon mein ek kaif-e-mohabbat hota hai
ye bhi hai isi mai-KHane ki wo bhi hai isi mai-KHane ki
sayyaad ne khul kar baat na ki jis din se qafas mein aaya hun
malum nahin miTTi meri gulshan ki hai ya virane ki
saqi tere lutf-e-am se hum waqif hain magar ye yaad rahe
is daur mein kam ras aati hai shishe ko dua paimane ki
is tarah mila kar pi jaana har rind ke bas ki baat nahin
thoDi si kisi paimane ki thoDi si kisi paimane ki
Ghazal
Lillah koi koshish na kare ulfat mein mujhe samjhane ki
Shadan Indauri