likhun firaq ki gar wardat wasli par
juda juda hun tapan mufaridat wasli par
likha tha main ne jo baKHt-e-siyah ka ahwal
giri siyahi ki aaKHir dawat wasli par
hamare yar ne tifli mein bhi siwae sitam
likha nahin raqam-e-iltifat wasli par
ye baat nikle hai andaz se ki ab 'maruf'
likhega us lab-e-shirin ki baat wasli par
Ghazal
Likhun firaq ki gar wardat wasli par
Maroof Dehlvi

