likha KHat use le qalam aur kaghaz
jale ishq-e-sozan se hum aur kaghaz
na rakh dida-e-tar pe maktub us ka
muKHalif hain aapas mein nam aur kaghaz
KHuda se bhi Dar likh na ahwal dil ka
diwane ye soz-e-raqam aur kaghaz
likha safha-e-dil pe maktub tujh ko
na tha tere laeq sanam aur kaghaz
mere dil ko ai chashm name ka us ke
KHush aata hai husn-e-raqam aur kaghaz
zara der tere jo tham jaen aansu
rahe hath mein koi dam aur kaghaz
jo kuchh safha-e-dil mein apne hai 'joshish'
rakhe hai ye KHubi to kam aur kaghaz
Ghazal
Likha KHat use le qalam aur kaghaz
Joshish Azimabadi