likha jo ashk se tahrir mein nahin aaya
wo dard lafz ki tafsir mein nahin aaya
abhi kuchh aur jakaD dushmani ki bandish mein
lahu ka zaiqa zanjir mein nahin aaya
ho dard halka to jhuTi KHushi bhi mil jae
ek aisa lamha bhi taqdir mein nahin aaya
kisi ke hijr ne muflis bana diya shayad
palaT ke apni wo jagir mein nahin aaya
wo meri aankhon pe qabiz raha 'siya' lekin
kisi bhi KHwab ki tabir mein nahin aaya
Ghazal
Likha jo ashk se tahrir mein nahin aaya
Siya sachdev