likha hai go teri qismat mein 'shaukat' chashm-e-tar rakhna
magar zalim kisi ki aabru par bhi nazar rakhna
na bhulega na bhulega qayamat tak na bhulega
kisi ka wo mohabbat se mere sine pe sar rakhna
na uTThega dil-e-nazuk se sadma ranj-e-furqat ka
ilahi mere dard-e-dil se un ko be-KHabar rakhna
wo kya jaane bhala hoti hain kaisi aish ki raaten
mayassar ho na jis ko ta-sahar takiye pe sar rakhna
dil-e-be-arzu kafi hai hum hasrat-nasibon ko
mubarak ho sadaf ko apni muTThi mein guhar rakhna
na ho kis tarah shart-e-dilbari duniya mein dildari
jahan mein ghar banana sahl hai mushkil hai ghar rakhna
Ghazal
Likha hai go teri qismat mein shaukat chashm-e-tar rakhna
Syed Kazim Ali Shaukat Bilgiraamii