likh likh ke aansuon se diwan kar liya hai
apne suKHan ko apni pahchan kar liya hai
aaKHir haTa din hum ne bhi zehn se kitaben
hum ne bhi apna jina aasan kar liya hai
duniya mein aankhen kholi hain mundne ki KHatir
aate hi lauTne ka saman kar liya hai
sab log is se pahle ki dewta samajhte
hum ne zara sa KHud ko insan kar liya hai
jin nekiyon pe chal kar ajdad kitne KHush the
hum ne unhi pe chal kar nuqsan kar liya hai
har bar apne dil ki baaten zaban pe la kar
hum ne musibaton ko mehman kar liya hai
aksar hua hai marne ki mang kar duaen
phir hum ne zindagi ka arman kar liya hai
ek dil ke TuTne par rota hai koi itna
jhonke ko KHud hamin ne tufan kar liya hai
socha bhi hai ki dana banne ki koshishon mein
kya haal apna tu ne nadan kar liya hai
kuchh is tarah guzara hai zindagi ko hum ne
jaise ki KHud pe koi ehsan kar liya hai
Ghazal
Likh likh ke aansuon se diwan kar liya hai
Rajesh Reddy