likh de aamil koi aisa tawiz
yar ho jae gale ka tawiz
kab musaKHKHar ye hasin hote hain
sab ye be-kar hai ganDa-tawiz
na hua yar ka ghussa ThanDa
bar-ha dho ke pilaya tawiz
sar se gesu ki bala jati hai
lae to radd-e-bala ka tawiz
mar ke bhi dil ki taDap itni hai
shaq hua meri lahad ka tawiz
har tarah hoti hai mayusi jab
log karte hain dua ya tawiz
aarzu KHak mein dushman ki mile
is liye dafn kiya tha tawiz
hath se apne jo likkha us ne
hum ne us KHat ko banaya tawiz
jis se aaya hua dil ruk jae
koi aisa bhi hai laTka tawiz
dil pasija na kisi din un ka
roz likh likh ke jalaya tawiz
kaam lo jazb-e-mohabbat se 'hafiz'
naqsh kya chiz hai kaisa tawiz
Ghazal
Likh de aamil koi aisa tawiz
Hafeez Jaunpuri