libas us ka alamat ki tarah tha
badan raushan ibarat ki tarah tha
faza saiqal samaat ki tarah thi
sukut us ka amanat ki tarah tha
ada mauj-e-tajassus ki tarah thi
nafas KHushbu ki shohrat ki tarah tha
bisat-e-rang thi muTThi mein us ki
qadam us ka bashaarat ki tarah tha
gurezan aankh dawat ki tarah thi
takalluf ek inayat ki tarah tha
KHalish bedar nashshe ki tarah thi
ragon mein KHun musibat ki tarah tha
tasawwur par hina bikhri hui thi
saman aaghosh-e-KHalwat ki tarah tha
hawas andhi zarurat ki tarah thi
wo KHud daim mohabbat ki tarah tha
wahi uslub-e-sada sharh-e-dil ka
kisi zinda riwayat ki tarah tha
Ghazal
Libas us ka alamat ki tarah tha
Rajinder Manchanda Bani