libas gard ka aur jism nur ka nikla
tamam wahm hi apne shuur ka nikla
jo apne aap se baDh kar hamara apna tha
use qarib se dekha to dur ka nikla
badan ke par utarte hi khul gain aankhen
suragh tere sarapa se tur ka nikla
sabhi nishaniyan us shaKHs par khari utrin
jo bhul kar bhi kabhi zikr hur ka nikla
uThe jo hath meri sangsariyon ke liye
har ek dast-e-inayat huzur ka nikla
na-jaane bhul gaya kaun kab kahan likh kar
miTa sa naqsh main bainassutur ka nikla
jo dana dana fana fasl-e-arzu ka hua
tamam fitna malaKH aur mor ka nikla
giraft-e-fan se na aazad ho saka 'shadab'
KHayal-e-taza karishma bahur ka nikla
Ghazal
Libas gard ka aur jism nur ka nikla
Aqeel Shadab