libas-e-yar ko main para-para kya karta
qaba-e-gul se use istiara kya karta
bahaar-e-gul mein hain dariya ke josh ki lahren
bhala main kashti-e-mai se kinara kya karta
naqab ulaT ke jo munh aashiqon ko dikhlate
tumhin kaho ki tumhaara nazara kya karta
suna jo haal-e-dil-e-zar yar ne to kaha
tabib marte hue kahe chaara kiya karta
hilal-e-id ka har-chand ho jahan mushtaq
tumhaari abruon ka sa ishaara kya karta
haqiqat-e-dahan-e-yar kholta kyun-kar
nahufta raaz ko main aashkara kya karta
qadam ko pichhe rah-e-KHaufnak-e-ishq mein rakh
ye pahle dekh le dil hai ishaara kya karta
KHum-e-sharab se mujh mast ne na munh phera
kanar-e-ab se pyasa kinara kya karta
bahaar thi jo wo gul-chehra yar bhi hota
akele ja ke chaman ka nazara kya karta
gudaz mom se har ustuKHan ko pata hun
phir aur sozish-e-dil ka harara kya karta
baDa hi KHwar ilaqa hai gulshan-e-ulfat
meri tarah koi is mein ijara kya karta
sharab-e-KHuld ki KHatir dahan hai rakhta saf
wazu mein warna ye zahid gharara kya karta
shikasta-dil na ho us but ke naz se kyun-kar
suluk shisha se hai sang-e-KHara kya karta
bahaar-e-gul mein piyala laga liya munh se
sharab pine ko main istiKHara kya karta
faqir ko nahin darkar shan amiron ki
sar-e-barahna sar-e-goshwara kya karta
bahaar-e-gul mein tha jame se bahar ai 'atish'
na karta main jo gareban ko para kya karta
Ghazal
Libas-e-yar ko main para-para kya karta
Haidar Ali Aatish