libas-e-gul mein wo KHushbu ke dhyan se nikla
mera yaqin bhi wahm-o-guman se nikla
hamare sath hi ab aandhiyan bhi chalti hain
ye tarz-e-ham-safari baadban se nikla
kuchh is tarah se bandhe hain zamin ki Dor se hum
ki KHauf-e-gum-rahi unchi uDan se nikla
naqib mein DhunDh raha tha fasil-e-shab mein magar
mera ghanim mere hi makan se nikla
ab is ke baad koi rasta na koi safar
qadam hisar-e-zaman-o-makan se nikla
ajib kashmakash-e-jabr-o-iKHtiyar rahi
gham-e-hayat isi darmiyan se nikla
nadi se pyas mili hai isi gharane ko
ki jis ke waste pani chaTan se nikla
Ghazal
Libas-e-gul mein wo KHushbu ke dhyan se nikla
Aslam Badar