leta hun tera nam har ek nam se pahle 
kuchh zikr nahin karta hun us kaam se pahle 
manzil ki saubat kabhi aazar na hogi 
main nam tera leta hun har gam se pahle 
hai ishq ka aaghaz hi anjam ka hasil 
anjam nazar aata hai anjam se pahle 
main KHud hi chala jaunga maiKHane se uTh kar 
saqi se jo laD jae nazar jam se pahle 
rindadan-e-bala-nosh ki hai baat hi kuchh aur 
mai pite nahin shaiKH kabhi sham se pahle 
wahshat mein zamana mujhe badnam na karta 
ho jata rafu chaak jo ilzam se pahle 
kahte hain wahi aap jo kahta hai zamana 
kuchh aur bhi kah lijiye badnam se pahle 
ye un ki inayat se mera haal hua hai 
kuchh war ata karte hain inam se pahle 
kahta hun ghazal un ke tasawwur mein 'nazar' jab 
aalam hi ajab hota hai ilham se pahle
        Ghazal
Leta hun tera nam har ek nam se pahle
Nazar Barni

