اردو हिंदी
Lekhe ki yan bahi na zar-o-mal ki kitab | Shaahi Shayari
lekhe ki yan bahi na zar-o-mal ki kitab

Ghazal

Lekhe ki yan bahi na zar-o-mal ki kitab

Mushafi Ghulam Hamdani

;

lekhe ki yan bahi na zar-o-mal ki kitab
hai apne haq mein wa-shud-e-dil fal ki kitab

bulbul ka zer-e-baal na beja samajh tu hai
us ke mutalee mein par-o-baal ki kitab

mazkur zulf hai mere diwan mein sar-ba-sar
har safha us ka kyun na bane jal ki kitab

fursat mili to KHama-e-baal-e-tadarw se
aashiq tere likhenge teri chaal ki kitab

juz yasfikuddimaa ki aaya na wo paDhe
quran ho garche us but-e-qattal ki kitab

shakl-e-urus chhaT na KHush aawe mujhe kabhi
rakh den jo mere samne ashkal ki kitab

dekhe jo ghaur se koi diwan mere to han
har bait hai zamane ke ahwal ki kitab

sharm-e-gunah se aab hua garche main wale
dhoi gai na nama-e-amal ki kitab

paya na sad-o-nahs se koi waraq tahi
taron ki main ne KHub jo ghirbaal ki kitab

kis tarah roz-e-hashr wo howenge sruKH-ru
dekha kiye hain yan jo KHat-o-KHal ki kitab

is dahr mein bulandi-e-azhan-e-kund se
main garche jaanta tha inhen fal ki kitab

har jild 'mushafi' tere diwan ki wale
nuqton se shak ke ban gai rummal ki kitab