le uDe KHak bhi sahra ke parastar meri
rah takte hi rahe shahr ke bazar meri
tez aandhi ne kiye mujh pe bala ke hamle
phir bhi qaem rahi miTTi ki ye diwar meri
chhup gaya tha mere jangal mein koi saya sa
aaj tak us ke taaqub mein hai talwar meri
gunj ubhregi meri ruh ke sannaTon se
salb ho jaegi jab taqat-e-guftar meri
TuTti jati hain sanson ki shikasta kaDiyan
phailti jati hai sahraon mein jhankar meri
kitna be-kaif tamasha-e-bahaaran nikla
jab KHizan ban ke bujhi KHwahish-e-izhaar meri
ham-safar chand na suraj na sitare nikle
tez hai gardish-e-dauran se bhi raftar meri
aatish-o-ab-o-hawa KHak-o-KHala-o-aflak
kitne qilon pe ba-yak-waqt hai yalghaar meri
gham zamane mein koi jins to 'siddiq' nahin
kya KHaridenge koi chiz KHaridar meri

Ghazal
Le uDe KHak bhi sahra ke parastar meri
Siddique Afghani