le uDe gesu pareshani meri
aaine le bhage hairani meri
kah uTha joban ki bas bas ho chuki
nichi nazron se nigahbani meri
baam par kah aae ja kar aah-e-garm
baDh ke bijli se hai jaulani meri
gesuon se un ke achchhi gham ki raat
main fida us par wo diwani meri
pyare pyare munh se phir kah de zara
ho mubarak tujh ko mehmani meri
sath mere dil bhi miTTi ho chuka
tere sadqe KHak kyun chhani meri
itni muddat mein bichhaD kar dil mila
der tak surat na pahchani meri
thak gae wo ruk gaya KHanjar 'riyaz'
ab baDi mushkil hai aasani meri
Ghazal
Le uDe gesu pareshani meri
Riyaz Khairabadi