le qaza ehsan tujh par kar chale
hum tere aane se pahle mar chale
kucha-e-jaanan mein jaana hai zarur
chahe aara sar pe ya KHanjar chale
bas ye hai ku-e-butan ki sarguzisht
sar pe mere saikDon patthar chale
ku-e-jaanan ka na paya kuchh nishan
KHizr ke ham-rah hum din bhar chale
pai tere dar pe aa kar zindagi
o masiha kha ke hum Thokar chale
dekhiye dekhenge kya roz-e-jaza
yan bashar aae wahan ba-shar chale
ho KHizan kyun-kar na gulshan ki bahaar
jab yahan baad-e-saba sar-sar chale
bazm se jate ho duzdida-nazar
nim-bismil kar chale kya kar chale
qaul-e-waiz ne na kuchh tasir ki
kushta-e-kakul pe kab mantar chale
KHun teri tirchhi nigahon ne kiya
lakh KHanjar ek kushte par chale
farsh par hai yun KHiraman rashk-e-mah
arsh par jaise koi aKHtar chale
kab hui sauda-e-mizhgan se shifa
nashtaron par saikDon nashtar chale
Ghazal
Le qaza ehsan tujh par kar chale
Mardan Ali Khan Rana