le lunga jaan de ke mohabbat jahan mile
kuchh din mein shayad aur ye sauda garan mile
ai karwan-e-ishq-o-wafa ke musafiro
kahna mera salam bhi manzil jahan mile
hamwar kar mizaj bahaar-o-KHizan se dil
mumkin nahin mizaj-e-bahaar-o-KHizan mile
ye manzilat bhi hissa-e-dushman mein aae kyun
hum sar na phoD len jo tera aastan mile
pahle hi se dilon ke na milne ka Dhang tha
jis moD par mile hain wo daman-kashan mile
main ne kiya hai ek hi unwan se KHitab
kis kis ke rup mein na mere mehrban mile
kyun jae 'najm' aisi faza chhoD kar kahin
rahne ko jis ke gulshan-e-hindostan mile

Ghazal
Le lunga jaan de ke mohabbat jahan mile
Najm Aafandi