اردو हिंदी
Le ke ham-rah chhalakte hue paimane ko | Shaahi Shayari
le ke ham-rah chhalakte hue paimane ko

Ghazal

Le ke ham-rah chhalakte hue paimane ko

Ahmad Mushtaq

;

le ke ham-rah chhalakte hue paimane ko
aan pahunchi hai ye saat bhi guzar jaane ko

han ise rah-guzar-e-KHanda-e-gul kahte hain
han yahi rah nikal jati hai virane ko

faeda bhi koi jal jal ke mare jaane se
kaun is shama se raushan kare parwane ko

sang uThana to baDi baat hai ab shahr ke log
aankh uTha kar bhi nahin dekhte diwane ko

kal bhi dekha tha unhen aaj bhi darshan honge
hasb-e-mamul wo niklenge hawa khane ko