le ke hathon mein mohabbat ke guhar aae hain
ek nazar dekh tere KHak-basar aae hain
ek ajab dhaDka dil-o-jaan ko laga rahta hai
jab bhi pardes se hum lauT ke ghar aae hain
jis taraf bhi main gaya main ne jidhar bhi dekha
zaKHm ki tarah mujhe log nazar aae hain
nok-e-neza ki taraf ek nazar dekh zara
kis bulandi pe wo ushshaq ke sar aae hain
mom ho jae wo patthar ki tarah saKHt badan
apne nalon mein kahan itne asar aae hain
sar-phiri aandhi girane use aa pahunchi hai
aas ke peD pe jis dam se samar aae hain
jab se utra hai safina mera sahil pe 'nabil'
mauj-dar-mauj kinare pe bhanwar aae hain

Ghazal
Le ke hathon mein mohabbat ke guhar aae hain
Nabeel Ahmad Nabeel