اردو हिंदी
Le ke dil kahte ho ulfat kya hai | Shaahi Shayari
le ke dil kahte ho ulfat kya hai

Ghazal

Le ke dil kahte ho ulfat kya hai

Nisar Itavi

;

le ke dil kahte ho ulfat kya hai
husn walo ye shararat kya hai

ek uchaTti si taghaful ki nigah
hila-e-arz-e-mohabbat kya hai

KHud hi nadim hun wafa par apni
us tabassum ki zarurat kya hai

mujh ko bohtan-e-hawas bhi manzur
kaun samjhega haqiqat kya hai

nikhat-o-nur ke sanson ka kaman
warna tu kya meri surat kya hai

qamat-e-yar ki bigDi hui shakl
fitna-e-roz-e-qayamat kya hai

kis ki himmat ki tujhe sath lagae
tu ba-juz mauj-e-latafat kya hai

rabt mahsus ki uljhan ke siwa
aap ka jazba-e-nafrat kya hai

ashk-e-gham bund hai pani ki magar
ye bhi malum hai qimat kya hai

daman-e-naz ki jhaDi hui gard
aur insan ki haqiqat kya hai

main ki ek gauhar-e-aluda-e-KHak
kuchh na samjha meri qimat kya hai

talib-e-dad-e-suKHan kyun ho 'nisar'
aap ke sher mein jiddat kya hai