le ke be-shak hath mein KHanjar chalo
oDh kar iKHlas ki chadar chalo
koi chingari na ho is Dher mein
soch kar in KHushk patton par chalo
hadse bahar khaDe hain ghat mein
phir palaT kar KHol ke andar chalo
toD kar is KHak-dan ki sarhaden
baadalon ki ThanDi saDkon par chalo
fan ki KHidmat roTiyan deti nahin
fan ki KHidmat chhoD kar daftar chalo
main bhi hun patthar bana do aadmi
mujh ko bhi chhute hue 'raghubar' chalo
zindagi be-dagh bhi achchhi nahin
tohmaten kuchh zindagi par dhar chalo
ho gaya ruKHsat gale mil kar koi
tum bhi rakh kar dil par ab patthar chalo
shahr ki miTTi pukare hai 'shabab'
ho chuka ban-bas pura ghar chalo
Ghazal
Le ke be-shak hath mein KHanjar chalo
Shabab Lalit