le ke apni zulf ko wo pyare pyare hath mein
kahte hain fitnon ki choTi hai hamare hath mein
saqiya donon jahan se phir to beDa par hai
gar bat-e-mai aae dariya ke kinare hath mein
aashiqon ki aankh se har dam barasta hai lahu
rang par hai aaj-kal mehndi tumhaare hath mein
KHub hai teri himayat pa ke luTe naqd-e-dil
ai pari duzd-hinai mal mare hath mein
hashr mein hum samjhe aaya yar ke KHat ka jawab
nama-e-amal jab aaya hamare hath mein
jab kabhi dast-e-hinai se katarta hai wo shoKH
barq ban jate hain afshan ke sitare hath mein
munh chiDhana be-sabab har-dam bigaDna chhoD do
ho agar ghusse mein aaina tumhaare hath mein
dast-e-saqi jam-e-jamshedi se baDh kar hai mujhe
dono aalam ke main karta hun nazare hath mein
wasl hai ek shahsawar-e-husn se sham-o-sahar
hai inan-e-ablaq-e-gardun hamare hath mein
fikr thi un ko ki kyunkar kijiye aashiq ko qatl
aa gai tegh-e-ada-o-naz bare hath mein
misl-e-shaKH-e-gul lachakti hai kalai bar bar
gajre phulon ke hain ya kangan tumhaare hath mein
wae-qismat dekhne paen na hum aankhon se bhi
le ke mashshata tere gesu sanware hath mein
kahte hain afshan ke zarre le ke peshani se wo
aasman se hum ne ye tare utare hath mein
band mahram ke wo khulwate hain hum se beshtar
aaj-kal sone ki chiDiya hai hamare hath mein
nabz par mujh dil-jale ke ungliyan rakkhen agar
ai masiha aag lag jaegi sare hath mein
hath aana ab dil-e-gum-gashta ka mumkin nahin
chhup raha duzd-e-hina ja kar tumhaare hath mein
dil mera muTThi mein le kar mujh se kahta hai wo shoKH
kya hai ai 'nazim' batao to hamare hath mein

Ghazal
Le ke apni zulf ko wo pyare pyare hath mein
Syed Yusuf Ali Khan Nazim