le kar koi paigham kabutar nahin aate
ab gham bhi tera rup badal kar nahin aate
kuchh boriyan aisi hain jo beron se ladi hain
par un pe kisi or se patthar nahin aate
har subh to khilte nahin nargis ke hasin phul
har rose to gulshan mein payambar nahin aate
har shaKHs liye phirta hai hathon mein saron ko
hathon mein nazar ab kahin KHanjar nahin aate
bimar kahin ho na paDosi chalo dekhen
ab raat mein us samt se patthar nahin aate
qad apna baDha lete hain baisakhi laga kar
jo log mere sar ke barabar nahin aate
uTh jate hain be-saKHta panw teri jaanib
hum dar pe tere soch-samajh kar nahin aate
darwaza bhula deta hain ek din unhen 'ishrat'
jo log ki raaton mein bhi ghar par nahin aate
Ghazal
Le kar koi paigham kabutar nahin aate
Ishrat Kiratpuri