le gaya ghar se unhen ghair ke ghar ka tawiz
hum ne dekha na suna aise asar ka tawiz
de ke bu zulf ki rakh lo tah-mahram dil ko
KHwab mein phir na Daroge ye hai Dar ka tawiz
sadqe tere mujhe taskin se taskin hui
KHat tera tha ki mere dard-e-jigar ka tawiz
ho mubarak tujhe aankhon mein samana din-raat
zeb-e-bazu rahe har-waqt nazar ka tawiz
rah gaya ghair ke ghar jaiye bhi laiye bhi
aap ke sar ki qasam aap ke sar ka tawiz
bandh le bahr-e-KHuda apne bhare bazu par
nazar-e-bad se bachaega nazar ka tawiz
ghar gae apne bata kar wo hamein rah-e-adam
wasl ki shab ki nishani hai kamar ka tawiz
hath bhi aaen to hai hath lagana mushkil
sar-e-bazu hai bandha KHas asar ka tawiz
Dar se un ke bhare bazu kai kaghaz utre
hath thama tha shab-e-wasl ki sarka tawiz
dil hai ab mang ke aaghosh mein din-raat 'riyaz'
ye to sar chaDh ke bana yar ke sar ka tawiz
Ghazal
Le gaya ghar se unhen ghair ke ghar ka tawiz
Riyaz Khairabadi