le e'tibar-e-wada-e-farda nahin raha
ab ye bhi zindagi ka sahaara nahin raha
tum mujh se kya phire ki qayamat si aa gai
ye kya hua ki koi kisi ka nahin raha
kya kya gile na the ki idhar dekhte nahin
dekha to koi dekhne wala nahin raha
aahen hujum-e-yas mein kuchh aisi kho gain
dil aashna-e-dard hi goya nahin raha
allah re chashm-e-hosh ki kasrat-parastiyan
zarre hi rah gae koi sahra nahin raha
de un pe jaan jis ko gharaz ho ki dil ke baad
un ki nigah ka wo taqaza nahin raha
tum do-ghaDi ko aae na bimar ke qarib
bimar do-ghaDi ko bhi achchha nahin raha
'fani' bas ab KHuda ke liye zikr-e-dil na chheD
jaane bhi de bala se raha ya nahin raha
Ghazal
Le etibar-e-wada-e-farda nahin raha
Fani Badayuni