اردو हिंदी
Le dam-e-nigah-e-yar aaya | Shaahi Shayari
le dam-e-nigah-e-yar aaya

Ghazal

Le dam-e-nigah-e-yar aaya

Daud Aurangabadi

;

le dam-e-nigah-e-yar aaya
karne kun mujhe shikar aaya

kyun aawe na mujh badan sun KHush bas
mujh bar mein wo gul-izar aaya

KHat dekh tere ruKH upar aaghaz
aaina upar ghubar aaya

jis baj thi dil kun be-qarari
wo dil ka mere qarar aaya

zahid ne apas ka zohd taqwa
kuche mein tere bisar aaya

nikla hai raqib-e-gul-badan sat
le gul ki panah KHar aaya

mujh parda-e-dil pe saz kar gham
ho nala mera sitar aaya

shabnam nahin har sahar ai 'daud'
tujh gham sun gul-e-ashk-bar aaya